hawa ko ik ishaara kar raha tha
bujhi lau ko sharaara kar raha tha
raqeebon ko gawara kar raha tha
tumhaare bin guzaara kar raha tha
sabhi ne fer leen nazrein magar main
tumhein bhi to ishaara kar raha tha
tumhaare ishq mein haara hua phir
wahi koshish dobara kar raha tha
bhanwar mein doobne se vo bacha jo
kinaare se kinaara kar raha tha
gumaan barkat ka hota tha mujhe par
haqeeqat mein khasaara kar raha tha
हवा को इक इशारा कर रहा था
बुझी लौ को शरारा कर रहा था
रक़ीबों को गवारा कर रहा था
तुम्हारे बिन गुज़ारा कर रहा था
सभी ने फेर लीं नज़रें मगर मैं
तुम्हें भी तो इशारा कर रहा था
तुम्हारे इश्क़ में हारा हुआ फिर
वही कोशिश दोबारा कर रहा था
भँवर में डूबने से वो बचा जो
किनारे से किनारा कर रहा था
गुमाँ बरकत का होता था मुझे पर
हक़ीक़त में ख़सारा कर रहा था
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Sohil Barelvi
our suggestion based on Sohil Barelvi
As you were reading Environment Shayari Shayari