meri manzil ka raasta mujh ko
ek panchi dikha raha mujh ko
us nagar se kiya juda mujh ko
koi apna nahin raha mujh ko
tere pahluu se khoob bhatkaaya
meri kismat ne jaa-b-jaa mujh ko
haadsa ye bhi kuchh juda sa hai
bujhta deepak jala raha mujh ko
ek rishta tabaah kar daala
shak ki deemak ne kha liya mujh ko
baad jaane ke aap ke milta
hoo-b-hoo koi aap sa mujh ko
haaye pahchaanta nahin sohil
ab to ghar ka bhi aaina mujh ko
मेरी मंज़िल का रास्ता मुझ को
एक पंछी दिखा रहा मुझ को
उस नगर से किया जुदा मुझ को
कोई अपना नहीं रहा मुझ को
तेरे पहलू से ख़ूब भटकाया
मेरी किस्मत ने जा-ब-जा मुझ को
हादसा ये भी कुछ जुदा सा है
बुझता दीपक जला रहा मुझ को
एक रिश्ता तबाह कर डाला
शक की दीमक ने खा लिया मुझ को
बाद जाने के आप के मिलता
हू-ब-हू कोई आप सा मुझ को
हाए पहचानता नहीं सोहिल
अब तो घर का भी आइना मुझ को
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Sohil Barelvi
our suggestion based on Sohil Barelvi
As you were reading Travel Shayari Shayari