khaabo ki aaj dekhiye jaageer kho gai | ख़्वाबों की आज देखिए जागीर खो गई

  - Sohil Barelvi

khaabo ki aaj dekhiye jaageer kho gai
aankhon mein jo basi thi vo tasveer kho gai

gardan urdu ki kaatte maidaan mein ham magar
mauqa-e-waardaat pe shamsheer kho gai

kuchh apsaraayein qaid theen aankhon mein subh tak
khulte hi aankh khwaab ki taabeer kho gai

azaad ho gaya main p hota raha gumaan
azaad ho gaya hoon ki zanjeer kho gai

ख़्वाबों की आज देखिए जागीर खो गई
आँखों में जो बसी थी वो तस्वीर खो गई

गरदन उदू की काटते मैदाँ में हम मगर
मौक़ा-ए-वारदात पे शमशीर खो गई

कुछ अप्सराएँ क़ैद थीं आँखों में सुब्ह तक
खुलते ही आँख ख़्वाब की ताबीर खो गई

आज़ाद हो गया मैं प होता रहा गुमाँ
आज़ाद हो गया हूँ कि ज़ंजीर खो गई

  - Sohil Barelvi

Crime Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Sohil Barelvi

As you were reading Shayari by Sohil Barelvi

Similar Writers

our suggestion based on Sohil Barelvi

Similar Moods

As you were reading Crime Shayari Shayari