dil ko koi aazaar to hota
apna koi gham-khwaar to hota
sehra bhi kar lete gawara
zikr-e-dar-o-deewaar to hota
saaya-e-zulf-e-yaar nahin tha
saaya-e-yaad-e-yaar to hota
aankhon se kuchh khoon hi bahta
vo daaman gul-kaar to hota
laakh tuloo-e-mehr the lekin
koi shab-bedaar to hota
दिल को कोई आज़ार तो होता
अपना कोई ग़म-ख़्वार तो होता
सहरा भी कर लेते गवारा
ज़िक्र-ए-दर-ओ-दीवार तो होता
साया-ए-ज़ुल्फ़-ए-यार नहीं था
साया-ए-याद-ए-यार तो होता
आँखों से कुछ ख़ून ही बहता
वो दामन गुल-कार तो होता
लाख तुलू-ए-मेहर थे लेकिन
कोई शब-बेदार तो होता
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Taj Bhopali
our suggestion based on Taj Bhopali
As you were reading Dil Shayari Shayari