shuoor-e-tishnagi ko aam kar do | शुऊ'र-ए-तिश्नगी को आम कर दो - Taj Bhopali

shuoor-e-tishnagi ko aam kar do
main kab kehta hoon mera jaam bhar do

zar-e-gul baant do ahl-e-chaman mein
har ek sehra hamaare naam kar do

na main yusuf na tum koi zulekha
jahaan chaaho mujhe neelaam kar do

vo mere saamne baithe hue hain
hareem-e-husn ke naakaam pardo

tum itna husn aakhir kya karoge
are kuch to khuda ke naam par do

शुऊ'र-ए-तिश्नगी को आम कर दो
मैं कब कहता हूँ मेरा जाम भर दो

ज़र-ए-गुल बाँट दो अहल-ए-चमन में
हर एक सहरा हमारे नाम कर दो

न मैं यूसुफ़ न तुम कोई ज़ुलेख़ा
जहाँ चाहो मुझे नीलाम कर दो

वो मेरे सामने बैठे हुए हैं
हरीम-ए-हुस्न के नाकाम परदो

तुम इतना हुस्न आख़िर क्या करोगे
अरे कुछ तो ख़ुदा के नाम पर दो

- Taj Bhopali
0 Likes

Taareef Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Taj Bhopali

As you were reading Shayari by Taj Bhopali

Similar Writers

our suggestion based on Taj Bhopali

Similar Moods

As you were reading Taareef Shayari Shayari