kaise mumkin tha tujhe dil se bhulaaye jaate | कैसे मुम्किन था तुझे दिल से भुलाए जाते

  - Tajdeed Qaiser

kaise mumkin tha tujhe dil se bhulaaye jaate
haq yahi tha ki tere naaz uthaaye jaate

zindagi raasta deti nahin aasaani se
hum-safar yun hi nahin dost banaaye jaate

teri khaatir to ham apnon se bhi lad baithe the
khwaab deewaar se kaise na lagaaye jaate

dekhte ham bhi ki kis kis ki talab hai duniya
jitne qaidi the sabhi saamne laaye jaate

aazmaana hi tujhe hota agar meri jaan
raasta de ke masaail na bataaye jaate

pehle ham rooh ki deewaar giraate aur phir
raah mein teri kai jaal bichhaaye jaate

faasla rakhte magar itna ki saans aati rahe
teri qurbat mein kai phool khilaaye jaate

कैसे मुम्किन था तुझे दिल से भुलाए जाते
हक़ यही था कि तेरे नाज़ उठाए जाते

ज़िन्दगी रास्ता देती नहीं आसानी से
हम-सफ़र यूँ ही नहीं दोस्त बनाए जाते

तेरी ख़ातिर तो हम अपनों से भी लड़ बैठे थे
ख़्वाब दीवार से कैसे न लगाए जाते

देखते हम भी कि किस किस की तलब है दुनिया
जितने क़ैदी थे सभी सामने लाए जाते

आज़माना ही तुझे होता अगर मेरी जान
रास्ता दे के मसाइल न बताए जाते

पहले हम रूह की दीवार गिराते और फिर
राह में तेरी कई जाल बिछाए जाते

फ़ासला रखते मगर इतना कि साँस आती रहे
तेरी क़ुर्बत में कई फूल खिलाए जाते

  - Tajdeed Qaiser

Adaa Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Tajdeed Qaiser

As you were reading Shayari by Tajdeed Qaiser

Similar Writers

our suggestion based on Tajdeed Qaiser

Similar Moods

As you were reading Adaa Shayari Shayari