jo aish mein daulat ye zaaya hoti hai
bhagwaan kii hi sab ye maaya hoti hai
beti nahin ban sakti hai beta kabhi
beti to aakhir dhan paraaya hoti hai
aulaad bas tab tak hi rahti hai sagee
maa-baap kii jab tak bhi chaaya hoti hai
apne hi bacche jo na pale theek se
auron ke ghar kii achhi aaya hoti hai
tan aur man jalta hai tab tak dhoop se
jab tak na uski zulf saaya hoti hai
जो ऐश में दौलत ये ज़ाया होती है
भगवान की ही सब ये माया होती है
बेटी नहीं बन सकती है बेटा कभी
बेटी तो आख़िर धन पराया होती है
औलाद बस तब तक ही रहती है सगी
माँ-बाप की जब तक भी छाया होती है
अपने ही बच्चे जो न पाले ठीक से
औरों के घर की अच्छी आया होती है
तन और मन जलता है तब तक धूप से
जब तक न उसकी ज़ुल्फ़ साया होती है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Sahil Verma
our suggestion based on Sahil Verma
As you were reading Father Shayari Shayari