nahin aayega tere bin maza ham ko kahaani mein
nahin dafna sakenge ishq tera sherwaani mein
agar shaadi nahin hogi hamaari tum se to jaanaan
qasam se khud ko phir ham maar daalenge jawaani mein
hamein vo chhod kar tanhaa kisi ki ban gai dulhan
udaasi aur gham de kar gai ham ko nishaani mein
ki main us se bichadkar dost murjha sa gaya hoon par
use dekho bahut khush hai vo ghar ki baaghbaani mein
नहीं आएगा तेरे बिन मज़ा हम को कहानी में
नहीं दफ़ना सकेंगे इश्क़ तेरा शेरवानी में
अगर शादी नहीं होगी हमारी तुम से तो जानाँ
क़सम से ख़ुद को फिर हम मार डालेंगे जवानी में
हमें वो छोड़ कर तन्हा किसी की बन गई दुल्हन
उदासी और ग़म दे कर गई हम को निशानी में
कि मैं उस से बिछड़कर दोस्त मुरझा सा गया हूँ पर
उसे देखो बहुत ख़ुश है वो घर की बाग़बानी में
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by ABhishek Parashar
our suggestion based on ABhishek Parashar
As you were reading Dosti Shayari Shayari