jo sochte the vo hua bhi to nahin | जो सोचते थे वो हुआ भी तो नहीं

  - Salma Malik

jo sochte the vo hua bhi to nahin
jo maangte the vo mila bhi to nahin

haan sil gaye hain chaak saare jism ke
par chaak-e-dil kii kuchh dava bhi to nahin

phir kyun kasak ab bhi mere seene mein hai
vo teer sa lahja chubha bhi to nahin

khwaahish nahin hai zindagi se ab hamein
ab zindagi se kuchh gila bhi to nahin

ye jism dekar shakl di phir aqla di
bas ik hai vo dooja khuda bhi to nahin

is jism mein hain silwaten kyun is qadar
ye pairhan usne chhua bhi to nahin

salma zaroori hain radif-o-qaafiye
bas laazmi ik muddaa bhi to nahin

जो सोचते थे वो हुआ भी तो नहीं
जो माँगते थे वो मिला भी तो नहीं

हाँ सिल गए हैं चाक सारे जिस्म के
पर चाक-ए-दिल की कुछ दवा भी तो नहीं

फिर क्यों कसक अब भी मिरे सीने में है
वो तीर सा लहजा चुभा भी तो नहीं

ख़्वाहिश नहीं है ज़िन्दगी से अब हमें
अब ज़िन्दगी से कुछ गिला भी तो नहीं

ये जिस्म देकर शक्ल दी फिर अक़्ल दी
बस इक है वो दूजा ख़ुदा भी तो नहीं

इस जिस्म में हैं सिल्वटें क्यों इस क़दर
ये पैरहन उसने छुआ भी तो नहीं

सलमा ज़रूरी हैं रदीफ़-ओ-क़ाफ़िए
बस लाज़मी इक मुद्दआ भी तो नहीं

  - Salma Malik

More by Salma Malik

As you were reading Shayari by Salma Malik

Similar Writers

our suggestion based on Salma Malik

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari