daayein baazu mein gada teer nahin kheench saka
is liye khol se shamsheer nahin kheench saka
shor itna tha ki awaaz bhi dabbe mein rahi
bheed itni thi ki zanjeer nahin kheench saka
har nazar se nazar-andaaz-shuda manzar hoon
vo madari hoon jo rahgeer nahin kheench saka
main ne mehnat se hatheli pe lakeeren kheenchin
vo jinhen kaatib-e-taqdeer nahin kheench saka
main ne tasveer-kashi kar ke jawaan ki aulaad
un ke bachpan ki tasaaveer nahin kheench saka
mujh pe ik hijr musallat hai hamesha ke liye
aisa jin hai ki koi peer nahin kheench saka
tum pe kya khaak asar hoga mere sher'on ka
tum ko to meer-taqi-meer nahin kheench saka
दाएँ बाज़ू में गड़ा तीर नहीं खींच सका
इस लिए ख़ोल से शमशीर नहीं खींच सका
शोर इतना था कि आवाज़ भी डब्बे में रही
भीड़ इतनी थी कि ज़ंजीर नहीं खींच सका
हर नज़र से नजर-अंदाज़-शुदा मंज़र हूँ
वो मदारी हूँ जो रहगीर नहीं खींच सका
मैं ने मेहनत से हथेली पे लकीरें खींचीं
वो जिन्हें कातिब-ए-तक़दीर नहीं खींच सका
मैं ने तस्वीर-कशी कर के जवाँ की औलाद
उन के बचपन की तसावीर नहीं खींच सका
मुझ पे इक हिज्र मुसल्लत है हमेशा के लिए
ऐसा जिन है कि कोई पीर नहीं खींच सका
तुम पे क्या ख़ाक असर होगा मिरे शे'रों का
तुम को तो मीर-तक़ी-'मीर' नहीं खींच सका
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Umair Najmi
our suggestion based on Umair Najmi
As you were reading Hijr Shayari Shayari