vo munh lagata hai jab koi kaam hota hai | वो मुँह लगाता है जब कोई काम होता है

  - Umair Najmi

vo munh lagata hai jab koi kaam hota hai
jo uska hota hai samjho ghulaam hota hai

kisi ka ho ke dobaara na aana meri taraf
mohabbaton mein halaala haraam hota hai

ise bhi ginte hain ham log ahl-e-khaana mein
hamaare yaa to shajar ka bhi naam hota hai

tujh aise shakhs ke hote hain khaas dost bahut
tujh aisa shakhs bahut jald aam hota hai

kabhi lagi hai tumhein koi shaam aakhiri shaam
hamaare saath ye har ek shaam hota hai

वो मुँह लगाता है जब कोई काम होता है
जो उसका होता है समझो ग़ुलाम होता है

किसी का हो के दुबारा न आना मेरी तरफ़
मोहब्बतों में हलाला हराम होता है

इसे भी गिनते हैं हम लोग अहल-ए-ख़ाना में
हमारे याँ तो शजर का भी नाम होता है

तुझ ऐसे शख़्स के होते हैं ख़ास दोस्त बहुत
तुझ ऐसा शख़्स बहुत जल्द आम होता है

कभी लगी है तुम्हें कोई शाम आख़िरी शाम
हमारे साथ ये हर एक शाम होता है

  - Umair Najmi

Relationship Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Umair Najmi

As you were reading Shayari by Umair Najmi

Similar Writers

our suggestion based on Umair Najmi

Similar Moods

As you were reading Relationship Shayari Shayari