kuchh safeene hain jo gharqaab ikatthe honge
aankh mein khwaab tah-e-aab ikatthe honge
jin ke dil jodte ye umr bita di main ne
jab maroonga to ye ahbaab ikatthe honge
muntashir kar ke zamaanon ko khangaala jaaye
tab kahi ja ke mere khwaab ikatthe honge
ek hi ishq mein dono ka junoon zam hoga
pyaas yaksaan hai to sairaab ikatthe honge
mujh ko raftaar chamak tujh ko ghataani hogi
warna kaise zar-o-seemaab ikatthe honge
us ki tah se kabhi daryaft kiya jaaunga main
jis samundar mein ye sailaab ikatthe honge
कुछ सफ़ीने हैं जो ग़र्क़ाब इकट्ठे होंगे
आँख में ख़्वाब तह-ए-आब इकट्ठे होंगे
जिन के दिल जोड़ते ये उम्र बिता दी मैं ने
जब मरूँगा तो ये अहबाब इकट्ठे होंगे
मुंतशिर कर के ज़मानों को खंगाला जाए
तब कहीं जा के मिरे ख़्वाब इकट्ठे होंगे
एक ही इश्क़ में दोनों का जुनूँ ज़म होगा
प्यास यकसाँ है तो सैराब इकट्ठे होंगे
मुझ को रफ़्तार चमक तुझ को घटानी होगी
वर्ना कैसे ज़र-ओ-सीमाब इकट्ठे होंगे
उस की तह से कभी दरयाफ़्त किया जाऊँगा मैं
जिस समुंदर में ये सैलाब इकट्ठे होंगे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Umair Najmi
our suggestion based on Umair Najmi
As you were reading I love you Shayari Shayari