main ne jo raah li dushwaar ziyaada nikli | मैं ने जो राह ली दुश्वार ज़ियादा निकली - Umair Najmi

main ne jo raah li dushwaar ziyaada nikli
mere andaaze se har baar ziyaada nikli

koi rozan na jharoka na koi darwaaza
meri ta'aamir mein deewaar ziyaada nikli

ye meri maut ke asbaab mein likha hua hai
khoon mein ishq ki miqdaar ziyaada nikli

kitni jaldi diya ghar waalon ko fal aur saaya
mujh se to ped ki raftaar ziyaada nikli

मैं ने जो राह ली दुश्वार ज़ियादा निकली
मेरे अंदाज़े से हर बार ज़ियादा निकली

कोई रौज़न न झरोका न कोई दरवाज़ा
मेरी ता'मीर में दीवार ज़ियादा निकली

ये मिरी मौत के अस्बाब में लिखा हुआ है
ख़ून में इश्क़ की मिक़दार ज़ियादा निकली

कितनी जल्दी दिया घर वालों को फल और साया
मुझ से तो पेड़ की रफ़्तार ज़ियादा निकली

- Umair Najmi
10 Likes

Shama Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Umair Najmi

As you were reading Shayari by Umair Najmi

Similar Writers

our suggestion based on Umair Najmi

Similar Moods

As you were reading Shama Shayari Shayari