meri bhanwon ke ain darmiyaan ban gaya
jabeen pe intizaar ka nishaan ban gaya
suna hua tha hijr mustaqil tanaav hai
wahi hua mera badan kamaan ban gaya
muheeb chup mein aahaton ka waahima hawa
main sar se paanv tak tamaam kaan ban gaya
hawa se raushni se raabta nahin raha
jidhar theen khidkiyaan udhar makaan ban gaya
shuruat din se ghar main sun raha tha is liye
sukoot meri maadri zabaan ban gaya
aur ek din khinchi hui lakeer mit gai
gumaan yaqeen bana yaqeen gumaan ban gaya
kai khafif gham mile malaal ban gaye
zara zara si katarno se thaan ban gaya
mere badon ne aadatan chuna tha ek dasht
vo bas gaya raheem yaar-khan ban gaya
मिरी भँवों के ऐन दरमियान बन गया
जबीं पे इंतिज़ार का निशान बन गया
सुना हुआ था हिज्र मुस्तक़िल तनाव है
वही हुआ मिरा बदन कमान बन गया
मुहीब चुप में आहटों का वाहिमा हवा
मैं सर से पाँव तक तमाम कान बन गया
हवा से रौशनी से राब्ता नहीं रहा
जिधर थीं खिड़कियाँ उधर मकान बन गया
शुरूअ' दिन से घर मैं सुन रहा था इस लिए
सुकूत मेरी मादरी ज़बान बन गया
और एक दिन खिंची हुई लकीर मिट गई
गुमाँ यक़ीं बना यक़ीं गुमान बन गया
कई ख़फ़ीफ़ ग़म मिले मलाल बन गए
ज़रा ज़रा सी कतरनों से थान बन गया
मिरे बड़ों ने आदतन चुना था एक दश्त
वो बस गया 'रहीम' यार-ख़ान बन गया
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Umair Najmi
our suggestion based on Umair Najmi
As you were reading Faith Shayari Shayari