junoon ke baab mein ab ke ye raegini ho | जूनून के बाब में अब के ये रैगनी हो

  - Vipul Kumar

junoon ke baab mein ab ke ye raegini ho
main houun aur mera hona ek kahaani ho

ye ishq rahbar-e-manzil-e-qayaamat hai
vo aaye saath jise zindagi ganwaani ho

kuchh is liye bhi teri aarzoo nahin hai mujhe
main chahta hoon mera ishq jaavedaani ho

mere badan pe to ab gaard bhi nahin baqi
use hai zid ki mera yaar aasmaani ho

जूनून के बाब में अब के ये रैगनी हो
मैं होऊं और मेरा होना एक कहानी हो

ये इश्क़ रहबर-ए-मंज़िल-इ-क़यामत है
वो आए साथ जिसे ज़िन्दगी गंवानी हो

कुछ इस लिए भी तेरी आरज़ू नहीं है मुझे
मैं चाहता हूँ मेरा इश्क़ जावेदानी हो

मेरे बदन पे तो अब गार्ड भी नहीं बाक़ी
उसे है ज़िद की मेरा यार आसमानी हो

  - Vipul Kumar

Badan Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Vipul Kumar

As you were reading Shayari by Vipul Kumar

Similar Writers

our suggestion based on Vipul Kumar

Similar Moods

As you were reading Badan Shayari Shayari