waqt ki taq pe dono ki sajaai hui raat | वक़्त की ताक़ पे दोनों की सजाई हुई रात - Vipul Kumar

waqt ki taq pe dono ki sajaai hui raat
kis pe kharchi hai bata meri kamaai hui raat

aur phir yun hua aankhon ne lahu barsaaya
yaad aayi koi baarish mein bitaai hui raat

hijr ke ban mein hiran apna bhi mera hi gaya
usrat-e-ram se bahr-haal rihaai hui raat

tu to ik lafz-e-mohabbat ko liye baitha hai
to kahaan jaati mere jism pe aayi hui raat

dil ko chain aaya to uthne laga taaron ka ghubaar
subh le nikli mere haath mein aayi hui raat

aur phir neend hi aayi na koi khwaab aaya
main ne chaahi thi mere khwaab mein aayi hui raat

वक़्त की ताक़ पे दोनों की सजाई हुई रात
किस पे ख़र्ची है बता मेरी कमाई हुई रात

और फिर यूँ हुआ आँखों ने लहु बरसाया
याद आई कोई बारिश में बिताई हुई रात

हिज्र के बन में हिरन अपना भी मेरा ही गया
उसरत-ए-रम से बहर-हाल रिहाई हुई रात

तू तो इक लफ़्ज़-ए-मोहब्बत को लिए बैठा है
तो कहाँ जाती मिरे जिस्म पे आई हुई रात

दिल को चैन आया तो उठने लगा तारों का ग़ुबार
सुब्ह ले निकली मिरे हाथ में आई हुई रात

और फिर नींद ही आई न कोई ख़्वाब आया
मैं ने चाही थी मिरे ख़्वाब में आई हुई रात

- Vipul Kumar
4 Likes

Badan Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Vipul Kumar

As you were reading Shayari by Vipul Kumar

Similar Writers

our suggestion based on Vipul Kumar

Similar Moods

As you were reading Badan Shayari Shayari