is kharaabi ki koi had hai ki mere ghar se | इस खराबी की कोई हद है की मेरे घर से

  - Vipul Kumar

is kharaabi ki koi had hai ki mere ghar se
sang uthaaye dar-o-diwaar nikal aate hain

kya qayaamat hai ki dar-qafila-e-rahraav-i shauq
kuchh qayaamat ke bhi hamvaar nikal aate hain

itna hairaan na ho meri ana par pyaare
ishq mein bhi kai khuddaar nikal aate hain

is qadar khasta-taani hai ki gale milte hue
us ki baanhon se bhi ham par nikal aate hain

juz tere khud bhi main tasleem nahin hoon khud ko
dil se poochhun bhi to inkaar nikal aate hain

इस खराबी की कोई हद है की मेरे घर से
संग उठाए दर-ओ-दिवार निकल आते हैं

क्या क़यामत है की दर-क़ाफ़िला-ए-रहराव-इ -शौक़
कुछ क़यामत के भी हमवार निकल आते हैं

इतना हैरान न हो मेरी अना पर प्यारे
इश्क़ में भी कई खुद्दार निकल आते हैं

इस क़दर खस्ता-तानी है की गले मिलते हुए
उस की बांहों से भी हम पर निकल आते हैं

जुज़ तेरे खुद भी मैं तस्लीम नहीं हूँ खुद को
दिल से पूछूं भी तो इंकार निकल आते हैं

  - Vipul Kumar

Attitude Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Vipul Kumar

As you were reading Shayari by Vipul Kumar

Similar Writers

our suggestion based on Vipul Kumar

Similar Moods

As you were reading Attitude Shayari Shayari