pighalte jismoon ki raushni se dara hua hoon
main choo raha hoon jise usi se dara hua hoon
mujhe usi ek dukh ki lat hai usi ko laao
main taaza zakhamon ki taazgi se dara hua hoon
main apne andar ke shor se khauf khaane waala
ab apne andar ki khaamoshi se dara hua hoon
main kis tarah ik saada dil ko fareb doonga
main us ki aankhon ki saadgi se dara hua hoon
पिघलते जिस्मों की रौशनी से डरा हुआ हूँ
मैं छू रहा हूँ जिसे उसी से डरा हुआ हूँ
मुझे उसी एक दुख की लत है उसी को लाओ
मैं ताज़ा ज़ख़्मों की ताज़गी से डरा हुआ हूँ
मैं अपने अंदर के शोर से ख़ौफ़ खाने वाला
अब अपने अंदर की ख़ामुशी से डरा हुआ हूँ
मैं किस तरह इक सादा दिल को फ़रेब दूँगा
मैं उस की आँखों की सादगी से डरा हुआ हूँ
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Vipul Kumar
our suggestion based on Vipul Kumar
As you were reading Masti Shayari Shayari