sukhun ka mas'ala lafz-e-kitaab tak nahin hai
ye kulliyaat mera intikhaab tak nahin hai
ganwa ke umr utha hoon tumhaari neend se main
malaal aankh mein aisa hai khwaab tak nahin hai
b-zo'm-e-seena-e-khaali milenge ab usse
ki dekh le to kahe iztiraab tak nahin hai
vo chashm-e-qarz-farosh aa rahi hai so main bhi
luta raha hoon ki jo dastyab tak nahin hai
khuda kare ki tere paanv se uthe hi nahin
par ab to haath uthaane ki taab tak nahin hai
सुख़न का मस'अला लफ़्ज़-ए-किताब तक नहीं है
ये कुल्लियात मेरा इंतिख़ाब तक नहीं है
गँवा के 'उम्र उठा हूँ तुम्हारी नींद से मैं
मलाल आँख में ऐसा है ख़्वाब तक नहीं है
ब-ज़ो'म-ए-सीना-ए-ख़ाली मिलेंगे अब उससे
कि देख ले तो कहे इज़्तिराब तक नहीं है
वो चश्म-ए-क़र्ज़-फ़रोश आ रही है सो मैं भी
लुटा रहा हूँ कि जो दस्तयाब तक नहीं है
ख़ुदा करे कि तेरे पाँव से उठें ही नहीं
पर अब तो हाथ उठाने की ताब तक नहीं है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Vipul Kumar
our suggestion based on Vipul Kumar
As you were reading Aankhein Shayari Shayari