har mulaqaat pe seene se lagaane waale
kitne pyaare hain mujhe chhod ke jaane waale
zindagi bhar ki mohabbat ka sila le doobe
kaise naadaan the tire jaan se jaane waale
jaan nikli hai to dil aur bhi bhari hua hai
sakht halkaan hain meri laash uthaane waale
ab jo bichhde to shab-e-hijr-e-mudaam aayegi sun
mere naadaan mere chhod ke jaane waale
ab jo main khaak hua hoon to hawa ho gaye hain
jism-dar-jism mera saath nibhaane waale
हर मुलाक़ात पे सीने से लगाने वाले
कितने प्यारे हैं मुझे छोड़ के जाने वाले
ज़िंदगी भर की मोहब्बत का सिला ले डूबे
कैसे नादाँ थे तिरे जान से जाने वाले
जान निकली है तो दिल और भी भारी हुआ है
सख़्त हलकाँ हैं मिरी लाश उठाने वाले
अब जो बिछड़े तो शब-ए-हिज्र-ए-मुदाम आएगी सुन
मेरे नादान मिरे छोड़ के जाने वाले
अब जो मैं ख़ाक हुआ हूँ तो हवा हो गए हैं
जिस्म-दर-जिस्म मिरा साथ निभाने वाले
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Vipul Kumar
our suggestion based on Vipul Kumar
As you were reading Nature Shayari Shayari