khaana-e-sokhta-e-dil ka makeen koi nahin
tu nahin hai to mere sho'la-nasheen koi nahin
chaand chehre bhi chamakte hain gul-o-sumbul bhi
teri duniya mein magar dil sa nageen koi nahin
ek awaaz lagata hoon koi hai bhi yahan
ek awaaz si aati hai kahi koi nahin
ek aalam hai faraavani-e-mardum se magar
main jahaan jisko bulaata hoon wahin koi nahin
ख़ाना-ए-सोख़्ता-ए-दिल का मकीं कोई नहीं
तू नहीं है तो मेरे शो’ला-नशीं कोई नहीं
चाँद चेहरे भी चमकते हैं गुल-ओ-सुम्बुल भी
तेरी दुनिया में मगर दिल सा नगीं कोई नहीं
एक आवाज़ लगाता हूँ कोई है भी यहाँ
एक आवाज़ सी आती है कहीं कोई नहीं
एक ‘आलम है फ़रावानी-ए-मर्दुम से मगर
मैं जहाँ जिसको बुलाता हूँ वहीं कोई नहीं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Vipul Kumar
our suggestion based on Vipul Kumar
As you were reading Duniya Shayari Shayari