khala ki mushkilaat apni jagah qaaim theen aur duniya
ujadti bharbhari banjar zameenon ki nishaani thi
sitaare surkh the aur chaand suraj par andheron ka basera tha
darakhton par parindon ki jagah veeraaniyon ke ghonsle hote
zameen ki kokh mein bas thoor tha aur khaar ugte the
hawa ko saans lene mein bahut dushwaariyaan hoti
to phir us noor waale ne koi loh-e-anaara bhej di shaayad
andhere raushni pe kis tarah eimaan le aaye
balaaen kis tarah pariyon ki soorat mein chali aayein
ye kis naural suvaiba ki khuda takhleeq kar baitha
ye narmi dilbari sharm-o-haya takhleeq kar baitha
vo naural vo suvaiba jis ki khaatir aasmaan se rang utre the
vo jis ke dam se duniya par nazaakat ka vujood aaya
khuda-e-khalq ne naural se pehle hi havas takhleeq kar di thi
nazaakat tak havas ki dastaras takhleeq kar di thi
hazaaron saal guzre hain magar fitrat nahin badli
nigaahen ab bhi bhooki hain ki jaise kha hi jaayengi
havas-zaadon ne kaise noor se munh par malee kaalk
har ik rishta zaroorat ke mutaabiq kis liye badla
havas-zaado badan-khoro zara si sharm farmao
vo naural vo suvaiba raushni ka isti'aara thi
kabhi hawwa kabhi mariyam kabhi loh-e-anaara thi
vo aurat thi
ख़ला की मुश्किलात अपनी जगह क़ाएम थीं और दुनिया
उजड़ती भरभरी बंजर ज़मीनों की निशानी थी
सितारे सुर्ख़ थे और चाँद सूरज पर अँधेरों का बसेरा था
दरख़्तों पर परिंदों की जगह वीरानियों के घोंसले होते
ज़मीं की कोख में बस थूर था और ख़ार उगते थे
हवा को साँस लेने में बहुत दुश्वारियाँ होतीं
तो फिर उस नूर वाले ने कोई लौह-ए-अनारा भेज दी शायद
अँधेरे रौशनी पे किस तरह ईमान ले आए
बलाएँ किस तरह परियों की सूरत में चली आईं
ये किस नौरल सुवैबा की ख़ुदा तख़्लीक़ कर बैठा
ये नर्मी दिलबरी शर्म-ओ-हया तख़्लीक़ कर बैठा
वो नौरल वो सुवैबा जिस की ख़ातिर आसमाँ से रंग उतरे थे
वो जिस के दम से दुनिया पर नज़ाकत का वजूद आया
ख़ुदा-ए-ख़ल्क़ ने नौरल से पहले ही हवस तख़्लीक़ कर दी थी
नज़ाकत तक हवस की दस्तरस तख़्लीक़ कर दी थी
हज़ारों साल गुज़रे हैं मगर फ़ितरत नहीं बदली
निगाहें अब भी भूकी हैं कि जैसे खा ही जाएँगी
हवस-ज़ादों ने कैसे नूर से मुँह पर मली कालक
हर इक रिश्ता ज़रूरत के मुताबिक़ किस लिए बदला
हवस-ज़ादो बदन-ख़ोरो ज़रा सी शर्म फ़रमाओ
वो नौरल वो सुवैबा रौशनी का इस्तिआ'रा थी
कभी हव्वा कभी मरियम कभी लौह-ए-अनारा थी
वो औरत थी
Our suggestion based on your choice
our suggestion based on Waqar Khan
As you were reading Raushni Shayari Shayari