ye dar sataayega ta-umr meri jaan mujhe
tire khyaal na karden lahu-luhaan mujhe
tamaam umr main karta raha safar pe safar
azeez lagne lagi is qadar thakaan mujhe
faqat udaas nahin hoon main khud udaasi hoon
na kar sakega koi shakhs shaadmaan mujhe
ai dost jurm-e-mohabbat ki mat aziyat pooch
mere khilaaf hi dena pada bayaan mujhe
lahu pilaana hai khanjar ko tashnalab rahkar
sulagte dasht mein dena hai imtihaan mujhe
mujhe khamosh hi rakhna tha ta-hayaat agar
khudaara kislie phir di gayi zabaan mujhe
main ik katore mein paani ko bharkay baith gaya
zameen pe laana hua jab bhi aasmaan mujhe
hunar dikhaana hai apna sukhun ke maqtal mein
ghazal mein dhaalna hai dard-e-dil amaan mujhe
ये डर सताएगा ता-उम्र मेरी जान मुझे
तिरे ख़्याल न करदें लहू-लुहान मुझे
तमाम उम्र मैं करता रहा सफ़र पे सफ़र
अज़ीज़ लगने लगी इस क़दर थकान मुझे
फ़क़त उदास नहीं हूँ मैं ख़ुद उदासी हूँ
न कर सकेगा कोई शख़्स शादमान मुझे
ऐ दोस्त जुर्म-ए-मोहब्बत की मत अज़ीयत पूछ
मिरे ख़िलाफ़ ही देना पड़ा बयान मुझे
लहू पिलाना है ख़ंजर को तशनालब रहकर
सुलगते दश्त में देना है इम्तिहान मुझे
मुझे ख़मोश ही रखना था ता-हयात अगर
ख़ुदारा किसलिए फिर दी गयी ज़बान मुझे
मैं इक कटोरे में पानी को भरके बैठ गया
ज़मीं पे लाना हुआ जब भी आसमान मुझे
हुनर दिखाना है अपना सुख़न के मक़तल में
ग़ज़ल में ढालना है दर्द-ए-दिल 'अमान' मुझे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Amaan Haider
our suggestion based on Amaan Haider
As you were reading Terrorism Shayari Shayari