jab zeest mein fisal gaye
apne sabhi badal gaye
bankar hakeem aaye jo
zakhamon ko aur masal gaye
maara sabhi ne pehle to
aakhir mein phir kuchal gaye
kar cheekh ansuni meri
chupke se sab nikal gaye
qissa maneesh sun yahan
sab murde tak dahal gaye
जब ज़ीस्त में फिसल गए
अपने सभी बदल गए
बनकर हकीम आए जो
ज़ख़्मों को और मसल गए
मारा सभी ने पहले तो
आख़िर में फिर कुचल गए
कर चीख़ अनसुनी मेरी
चुपके से सब निकल गए
क़िस्सा मनीष सुन यहाँ
सब मुर्दे तक दहल गए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Manish Kumar Gupta
our suggestion based on Manish Kumar Gupta
As you were reading Kahani Shayari Shayari