tumhaare kaam agar aaye muskuraane mein | तुम्हारे काम अगर आए मुस्कुराने में - Yasir Khan

tumhaare kaam agar aaye muskuraane mein
to koi harj nahin mere toot jaane mein

farokht ho gai har shay jo dil makaan mein thi
main itna kharch hua hoon use kamaane mein

main apni jaan se jaaunga hai ye sach lekin
use bhi zakham to aayenge aazmaane mein

vo ek lafz-e-mohabbat na bin saka mujh se
hazaar baar mita hoon jise banaane mein

tumhein to sirf khabar hai charaagh jalne ki
hamaare haath jale hain use jalane mein

tumhaare vasl ki masti thi aur may-khaana
sharaab le ke gaya tha sharaab-khaane mein

imaarton mein mohabbat ka devta hai vo
hamaare haath kate hain jise banaane mein

तुम्हारे काम अगर आए मुस्कुराने में
तो कोई हर्ज नहीं मेरे टूट जाने में

फ़रोख़्त हो गई हर शय जो दिल मकान में थी
मैं इतना ख़र्च हुआ हूँ उसे कमाने में

मैं अपनी जान से जाऊँगा है ये सच लेकिन
उसे भी ज़ख़्म तो आएँगे आज़माने में

वो एक लफ़्ज़-ए-मोहब्बत न बिन सका मुझ से
हज़ार बार मिटा हूँ जिसे बनाने में

तुम्हें तो सिर्फ़ ख़बर है चराग़ जलने की
हमारे हाथ जले हैं उसे जलाने में

तुम्हारे वस्ल की मस्ती थी और मय-ख़ाना
शराब ले के गया था शराब-ख़ाने में

इमारतों में मोहब्बत का देवता है वो
हमारे हाथ कटे हैं जिसे बनाने में

- Yasir Khan
8 Likes

Valentine Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Yasir Khan

As you were reading Shayari by Yasir Khan

Similar Writers

our suggestion based on Yasir Khan

Similar Moods

As you were reading Valentine Shayari Shayari