gahri raat hai aur toofaan ka shor bahut
ghar ke dar-o-deewar bhi hain kamzor bahut
tere saamne aate hue ghabraata hoon
lab pe tira iqaar hai dil mein chor bahut
naqsh koii baaki rah jaaye mushkil hai
aaj lahu kii rawaani mein hai zor bahut
dil ke kisi kone mein pade honge ab bhi
ek khula aakaash patange dor bahut
mujh se bichhad kar hoga samundar bhi bechain
raat dhale to karta hoga shor bahut
aa ke kabhi veeraani-e-dil ka tamasha kar
is jungle mein naach rahe hain mor bahut
apne basere panchi laut na paaya zeb
shaam ghatta bhi utthi thi ghanghor bahut
गहरी रात है और तूफ़ान का शोर बहुत
घर के दर-ओ-दीवार भी हैं कमज़ोर बहुत
तेरे सामने आते हुए घबराता हूँ
लब पे तिरा इक़रार है दिल में चोर बहुत
नक़्श कोई बाक़ी रह जाए मुश्किल है
आज लहू की रवानी में है ज़ोर बहुत
दिल के किसी कोने में पड़े होंगे अब भी
एक खुला आकाश पतंगें डोर बहुत
मुझ से बिछड़ कर होगा समुंदर भी बेचैन
रात ढले तो करता होगा शोर बहुत
आ के कभी वीरानी-ए-दिल का तमाशा कर
इस जंगल में नाच रहे हैं मोर बहुत
अपने बसेरे पंछी लौट न पाया 'ज़ेब'
शाम घटा भी उट्ठी थी घनघोर बहुत
As you were reading Shayari by Zeb Ghauri
our suggestion based on Zeb Ghauri
As you were reading undefined Shayari