main chhoo sakoon tujhe mera khayaal-e-khaam hai kya | मैं छू सकूँ तुझे मेरा ख़याल-ए-ख़ाम है क्या

  - Zeb Ghauri

main chhoo sakoon tujhe mera khayaal-e-khaam hai kya
tira badan koii shamshir-e-be-niyam hai kya

meri jagah koii aaina rakh liya hota
na jaane tere tamaashe mein mera kaam hai kya

aseer-e-khaak mujhe kar ke tu nihaal sahi
nigaah daal ke to dekh zer-e-daam hai kya

ye doobti hui kya shay hai teri aankhon mein
tire labon pe jo raushan hai uska naam hai kya

mujhe bata main tiri khaak ab kahaan rakh doon
ki zeb arz-o-sama mein tira maqaam hai kya

मैं छू सकूँ तुझे मेरा ख़याल-ए-ख़ाम है क्या
तिरा बदन कोई शमशीर-ए-बे-नियाम है क्या

मिरी जगह कोई आईना रख लिया होता
न जाने तेरे तमाशे में मेरा काम है क्या

असीर-ए-ख़ाक मुझे कर के तू निहाल सही
निगाह डाल के तो देख ज़ेर-ए-दाम है क्या

ये डूबती हुई क्या शय है तेरी आँखों में
तिरे लबों पे जो रौशन है उसका नाम है क्या

मुझे बता मैं तिरी ख़ाक अब कहाँ रख दूँ
कि 'ज़ेब' अर्ज़-ओ-समा में तिरा मक़ाम है क्या

  - Zeb Ghauri

More by Zeb Ghauri

As you were reading Shayari by Zeb Ghauri

Similar Writers

our suggestion based on Zeb Ghauri

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari