baithe baithe kaisa dil ghabra jaata hai | बैठे बैठे कैसा दिल घबरा जाता है - Zehra Nigaah

baithe baithe kaisa dil ghabra jaata hai
jaane waalon ka jaana yaad aa jaata hai

baat-cheet mein jis ki rawaani masal hui
ek naam lete mein kuch ruk sa jaata hai

hansati-basati raahon ka khush-baash musaafir
rozi ki bhatti ka eendhan ban jaata hai

daftar mansab dono zehan ko kha lete hain
ghar waalon ki qismat mein tan rah jaata hai

ab is ghar ki aabaadi mehmaanon par hai
koi aa jaaye to waqt guzar jaata hai

daftar mansab dono zehan ko kha lete hain
ghar waalon ki qismat mein tan rah jaata hai

ab is ghar ki aabaadi mehmaanon par hai
koi aa jaaye to waqt guzar jaata hai

बैठे बैठे कैसा दिल घबरा जाता है
जाने वालों का जाना याद आ जाता है

बात-चीत में जिस की रवानी मसल हुई
एक नाम लेते में कुछ रुक सा जाता है

हँसती-बस्ती राहों का ख़ुश-बाश मुसाफ़िर
रोज़ी की भट्टी का ईंधन बन जाता है

दफ़्तर मंसब दोनों ज़ेहन को खा लेते हैं
घर वालों की क़िस्मत में तन रह जाता है

अब इस घर की आबादी मेहमानों पर है
कोई आ जाए तो वक़्त गुज़र जाता है

दफ़्तर मंसब दोनों ज़ेहन को खा लेते हैं
घर वालों की क़िस्मत में तन रह जाता है

अब इस घर की आबादी मेहमानों पर है
कोई आ जाए तो वक़्त गुज़र जाता है

- Zehra Nigaah
3 Likes

Kismat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Zehra Nigaah

As you were reading Shayari by Zehra Nigaah

Similar Writers

our suggestion based on Zehra Nigaah

Similar Moods

As you were reading Kismat Shayari Shayari