milta use hai chhab mera har gham-shanaas mein
bharti hain siskiyaan saba bhi mere paas mein
maujoodgi to kya vo nahin hai qiyaas mein
lagta magar kahin hai mere aas-paas mein
sab kuchh kamaal aur naya sa laga tha tab
har shay hai ab hamaari tavajjoh kii aas mein
kya gham ki din udega kisi din girift se
ginti to ho gai meri kab se hiraas mein
ik shakhs kaanch sa vo diye tha mujhe panaah
purze usi ke jazb hain hosh-o-hawas mein
itna juda hua na ho dil ye kisi se bhi
yaksaan tarang phoot hai laati asaas mein
maare bahut hi horn jo aaya na koii to
main rail le chala hoon akela bhadaas mein
hon jald hi ye dard ke sailaab khatm sab
kuchh jaam ashk ke miyaan rakh lo gilaas mein
मिलता उसे है छब मिरा हर ग़म-शनास में
भरती हैं सिसकियाँ सबा भी मेरे पास में
मौजूदगी तो क्या वो नहीं है क़ियास में
लगता मगर कहीं है मिरे आस-पास में
सब कुछ कमाल और नया सा लगा था तब
हर शय है अब हमारी तवज्जोह की आस में
क्या ग़म कि दिन उड़ेगा किसी दिन गिरफ़्त से
गिनती तो हो गई मिरी कब से हिरास में
इक शख़्स काँच सा वो दिए था मुझे पनाह
पुर्ज़े उसी के जज़्ब हैं होश-ओ-हवास में
इतना जुड़ा हुआ न हो दिल ये किसी से भी
यकसाँ तरंग फूट है लाती असास में
मारे बहुत ही हॉर्न जो आया न कोई तो
मैं रेल ले चला हूँ अकेले भड़ास में
हों जल्द ही ये दर्द के सैलाब ख़त्म सब
कुछ जाम अश्क के मियाँ रख लो गिलास में
As you were reading Shayari by kapil verma
our suggestion based on kapil verma
As you were reading undefined Shayari