jun hi dekha teri raushan jabeen ka noor khilwat mein | जूँ ही देखा तेरी रौशन जबीं का नूर ख़लवत में

  - Afzal Ali Afzal

jun hi dekha teri raushan jabeen ka noor khilwat mein
hai mehv-e-rashq koh-e-qaf ki vo hoor khilwat mein

teri yaadon ne kar daala hamein majboor khilwat mein
chhalk uththa hai palkon se gham-e-mastoor khilwat mein

meri saansen mehkati hain teri khushboo se akshar yun
jun koi guncha-e-dil ho tera mazkoor khilwat mein

aziyatnaak raaton mein sisakti hain tumhaare bin
mere kamre ki deewarein gamon se choor khilwat mein

shikam khaali badan nangaa hai pairo'n mein thakan pahne
liye bacchon ko rota hai koi mazdoor khilwat mein

shab-e-hijraan ki tanhaai teri furqat ka gham us par
shikasta dil hai yun bhi zabt se maamoor khilwat mein

liye palkon pe moti gham ke dar aaina ik ladki
taka karti hai apni maang ka sindoor khilwat mein

vaba phaili hai aalam mein jidhar dekho udhar afzal
munaasib hai ki rahiye ab sabhi se door khilwat mein

जूँ ही देखा तेरी रौशन जबीं का नूर ख़लवत में
है मेहव-ए-रश्क़ कोह-ए-क़ाफ़ की वो हूर ख़लवत में

तेरी यादों ने कर डाला हमें मजबूर ख़लवत में
छलक उठ्ठा है पलकों से ग़म-ए-मस्तूर ख़लवत में

मेरी साँसें महकती हैं तेरी ख़ुश्बू से अक्सर यूँ
जूँ कोई गुंचा-ए-दिल हो तेरा मज़कूर ख़लवत में

अज़ीयतनाक रातों में सिसकती हैं तुम्हारे बिन
मेंरे कमरे की दीवारें ग़मों से चूर ख़लवत में

शिकम ख़ाली बदन नंगा, है पैरों में थकन पहने
लिए बच्चों को रोता है कोई मज़दूर ख़लवत में

शब-ए-हिज्राँ की तन्हाई, तेरी फ़ुरक़त का ग़म उस पर
शिकस्ता दिल है यूँ भी ज़ब्त से मामूर ख़लवत में

लिए पलकों पे मोती ग़म के दर आईना इक लड़की
तका करती है अपनी माँग का सिंदूर ख़लवत में

वबा फैली है आलम में, जिधर देखो उधर अफ़ज़ल
मुनासिब है कि रहिये अब सभी से दूर ख़लवत में

  - Afzal Ali Afzal

Dar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Afzal Ali Afzal

As you were reading Shayari by Afzal Ali Afzal

Similar Writers

our suggestion based on Afzal Ali Afzal

Similar Moods

As you were reading Dar Shayari Shayari