rooth ke mujhse ghar ke dwaare baithi hai | रूठ के मुझसे घर के द्वारे बैठी है - Afzal Ali Afzal

rooth ke mujhse ghar ke dwaare baithi hai
gaal phula kar pyaare pyaare baithi hai

apne kamre mein khaamosh khade hain hum
aur tanhaai baal sanwaare baithi hai

chhoot raha hai ummeedon ka daaman ab
na ummeedi paanv pasaare baithi hai

socha tha baahar khaane par jaayenge
par vo moong ki daal baghaare baithi hai

chup baithe hain rail ki khidki se lagkar
aur udaasi saath hamaare baithi hai

baithe hain chupchaap akela hum is paar
ik duniya us paar kinaare baithi hai

रूठ के मुझसे घर के द्वारे बैठी है
गाल फुला कर प्यारे प्यारे, बैठी है

अपने कमरे में ख़ामोश खड़े हैं हम
और तन्हाई बाल सँवारे बैठी है

छूट रहा है उम्मीदों का  दामन अब
ना उम्मीदी पांव पसारे बैठी है

सोचा था बाहर खाने पर जाएंगे
पर वो मूंग की दाल बघारे बैठी है

चुप बैठे हैं रेल की खिड़की से लगकर
और उदासी साथ हमारे बैठी है

बैठे हैं चुपचाप अकेले हम इस पार
इक दुनिया उस पार किनारे बैठी है

- Afzal Ali Afzal
14 Likes

Udasi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Afzal Ali Afzal

As you were reading Shayari by Afzal Ali Afzal

Similar Writers

our suggestion based on Afzal Ali Afzal

Similar Moods

As you were reading Udasi Shayari Shayari