aap kahte hain ki bekar lahu rote hain | आप कहते हैं कि बेकार लहू रोते हैं - Afzal Ali Afzal

aap kahte hain ki bekar lahu rote hain
hum to samjhe the samajhdaar lahu rote hain

har dafa tum bhi tasavvur mein chale aate ho
hum bhi phir toot ke har baar lahu rote hain

is se pehle ki nigal jaaye mujhe baichaini
aa kahi baith ke ghamkhwaar lahu rote hain

surkh aankhon ka sabab kya hai bataayein tum ko
dard hota hai bahot yaar lahu rote hain

is kahaani ka naya mod hai mera marna
kyun kahaani ke ye kirdaar lahu rote hain

daad dete hain jinhen aap khushi se uthkar
fan ke parde mein ye fankaar lahu rote hain

ye bhi kaisa hi ajab seen hai jis mein mil kar
saare ke saare adakaar lahu rote hain

आप कहते हैं कि बेकार लहू रोते हैं
हम तो समझे थे समझदार लहू रोते हैं

हर दफ़ा तुम भी तसव्वुर में चले आते हो
हम भी फिर टूट के हर बार लहू रोते हैं

इस से पहले कि निगल जाए मुझे बैचेनी
आ कहीं बैठ के ग़मख़्वार लहू रोते हैं

सुर्ख़ आंखों का सबब क्या है बताएं तुम को
दर्द होता है बहोत, यार लहू रोते हैं

इस कहानी का नया मोड़ है मेरा मरना
क्यों कहानी के ये किरदार लहू रोते हैं

दाद देते हैं जिन्हें आप ख़ुशी से उठकर
फ़न के परदे में ये फ़नकार लहु रोते हैं

ये भी कैसा ही अजब सीन है जिस में मिल कर
सारे के सारे अदाकार लहू रोते हैं

- Afzal Ali Afzal
2 Likes

Relationship Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Afzal Ali Afzal

As you were reading Shayari by Afzal Ali Afzal

Similar Writers

our suggestion based on Afzal Ali Afzal

Similar Moods

As you were reading Relationship Shayari Shayari