kya bataaun tujhe us shakhs ka kya kya na gaya
haal tha aisa ke dekhe se bhi dekha na gaya
neest-naabood makaanaat kiye yaadon ke
phir bhi is zehan se un yaadon ka malba na gaya
kyun ho afsos ke naakaam muhabbat mein hue
acche-acchon ka bhi ye imtihaan achha na gaya
tera milna meri takdeer mein likkha tha magar
tera hona meri takdeer mein likkha na gaya
sab bhula dega mere marne pe samjha tha main
baad marne ke bhi lekin tira shikwa na gaya
sochta tha ki sare aam tujhe ruswa karoon
par tira naam zabaan par kabhi laaya na gaya
क्या बताऊँ तुझे उस शख़्स का क्या क्या न गया
हाल था ऐसा के देखे से भी देखा न गया
नीस्त-नाबूद मकानात किए यादों के
फिर भी इस ज़ेहन से उन यादों का मलबा न गया
क्यूँ हो अफ़सोस के नाकाम मुहब्बत में हुए
अच्छे-अच्छों का भी ये इम्तिहाँ अच्छा न गया
तेरा मिलना मेरी तकदीर में लिक्खा था मगर
तेरा होना मेरी तकदीर में लिक्खा न गया
सब भुला देगा मिरे मरने पे समझा था मैं
बाद मरने के भी लेकिन तिरा शिकवा न गया
सोचता था कि सरे आम तुझे रुसवा करूँ
पर तिरा नाम ज़बाँ पर कभी लाया न गया
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Aqib khan
our suggestion based on Aqib khan
As you were reading Afsos Shayari Shayari