har shakhs aur sab dil udaasi ke hain shikaar
inko khabar na ghaafil udaasi ke hain shikaar
dariya to dariya hain ki inhen kya malaal hai
jitne hain dekh saahil udaasi ke hain shikaar
gham chahiye ajeeb talab hai inhen bhi ab
aaye hain yaar sail udaasi ke hain shikaar
yun bhi udaas bazm nazar aa rahi hai dost
vo jo hain sadr-e-mehfil udaasi ke hain shikaar
bolein hansein ki aankh na nam ho zara miyaan
aisa to karna mushkil udaasi ke hain shikaar
ishq-o-firaq ka na jinhen ilm hai zara
aise bhi yaar jaahil udaasi ke hain shikaar
raahat mile inhen ki ab azaar mein faqat
ariz azeez kaamil udaasi ke hain shikaar
हर शख़्स और सब दिल उदासी के हैं शिकार
इनको ख़बर न ग़ाफ़िल उदासी के हैं शिकार
दरिया तो दरिया हैं कि इन्हें क्या मलाल है
जितने हैं देख साहिल उदासी के हैं शिकार
ग़म चाहिए अजीब तलब है इन्हें भी अब
आए हैं यार साइल उदासी के हैं शिकार
यूँ भी उदास बज़्म नज़र आ रही है दोस्त
वो जो हैं सद्र-ए-महफ़िल उदासी के हैं शिकार
बोलें हँसें कि आँख न नम हो ज़रा मियाँ
ऐसा तो करना मुश्किल उदासी के हैं शिकार
इश्क़-ओ-फ़िराक़ का न जिन्हें इल्म है ज़रा
ऐसे भी यार जाहिल उदासी के हैं शिकार
राहत मिले इन्हें कि अब आज़ार में फ़क़त
आरिज़ अज़ीज़ कामिल उदासी के हैं शिकार
As you were reading Shayari by Azhan 'Aajiz'
our suggestion based on Azhan 'Aajiz'
As you were reading undefined Shayari