tumhaare baad ik khushhaal ghar veeraan rehta hai
tumhaare bujhne se ab har diya be-jaan rehta hai
gulistaan mein bahaaren-raunkein. dam se tumhaare theen
tumhaare baad ab to bas chaman sunsaan rehta hai
tumhaara aqs hai kya hai khuda jaane magar mujhmein
tumhaare jaisi shakl-o-aql ka insaan rehta hai
na gunjaish rahi baqi khushi koi rahe ghar mein
guzishta-saal ke us qahar ka samaan rehta hai
yahan barso-bars se rah raha hai ek ladka vo
hui muddat ki khud se hi bahut anjaan rehta hai
ajab ik silsila hai saath mere har dafa ariz
munaafe waale saude mein mujhe nuksaan rehta hai
तुम्हारे बाद इक ख़ुशहाल घर वीरान रहता है
तुम्हारे बुझने से अब हर दिया बे-जान रहता है
गुलिस्ताँ में बहारें-रौनकें दम से तुम्हारे थीं
तुम्हारे बाद अब तो बस चमन सुनसान रहता है
तुम्हारा अक़्स है क्या है ख़ुदा जाने मगर मुझमें
तुम्हारे जैसी शक़्ल-ओ-अक़्ल का इंसान रहता है
न गुंजाइश रही बाक़ी ख़ुशी कोई रहे घर में
गुज़िश्ता-साल के उस क़हर का सामान रहता है
यहाँ बरसो-बरस से रह रहा है एक लड़का वो
हुई मुद्दत कि ख़ुद से ही बहुत अंजान रहता है
अजब इक सिलसिला है साथ मेरे हर दफ़ा 'आरिज़'
मुनाफ़े वाले सौदे में मुझे नुक्सान रहता है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Azhan 'Aajiz'
our suggestion based on Azhan 'Aajiz'
As you were reading Insaan Shayari Shayari