watan ki ho rahi ab to tijaarat hai | वतन की हो रही अब तो तिजारत है

  - Azhan 'Aajiz'

watan ki ho rahi ab to tijaarat hai
miyaan sauda-garon par ab khilaafat hai

pareshaan sab hain aisi ab hukoomat hai
ujaale mein bhi itni yaar zulmat hai

samjhte hi nahin naadaan dekho to
ki failaai siyaasat ne hi nafrat hai

hamaare paas bas ye hi hai le lo tum
muhabbat hai muhabbat hai muhabbat hai

main sach to bol doon par mas'ala ye hai
ki meri jaan ko aani museebat hai

zamaana ghoom aa jaate ho ham par hi
batao ham se kya tumko adavat hai

sadaaein de rahi hai mulk ki mitti
kisi mein baaki kya ab bhi sadaqat hai

chale aao bhala tum ab to ahle-haq
watan ko ab tumhaari hi zaroorat hai

वतन की हो रही अब तो तिजारत है
मियाँ सौदा-गरों पर अब खिलाफ़त है

परेशाँ सब हैं ऐसी अब हुकूमत है
उजाले में भी इतनी यार ज़ुल्मत है

समझते ही नहीं नादान देखो तो
कि फैलाई सियासत ने ही नफ़रत है

हमारे पास बस ये ही है ले लो तुम
मुहब्बत है मुहब्बत है मुहब्बत है

मैं सच तो बोल दूँ पर मस'अला ये है
कि मेरी जान को आनी मुसीबत है

ज़माना घूम आ जाते हो हम पर ही
बताओ हम से क्या तुमको अदावत है

सदाएँ दे रही है मुल्क की मिट्टी
किसी में बाक़ी क्या अब भी सदाक़त है

चले आओ भला तुम अब तो अहले-हक़
वतन को अब तुम्हारी ही ज़रूरत है

  - Azhan 'Aajiz'

Nafrat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Azhan 'Aajiz'

As you were reading Shayari by Azhan 'Aajiz'

Similar Writers

our suggestion based on Azhan 'Aajiz'

Similar Moods

As you were reading Nafrat Shayari Shayari