band ik kitaab mein rakha gulaab dekh kar | बंद इक किताब में रखा गुलाब देख कर - Azhan 'Aajiz'

band ik kitaab mein rakha gulaab dekh kar
zinda main raha hoon bas usi ka khwaab dekh kar

maine maana paas tere khoob yaar maal hai
fir bhi kharch kar tu bas zara hisaab dekh kar

matlabi bana hai dekho kitna aadmi yahan
neki bhi yahan vo karta hai savaab dekh kar

kya hai paas mere ik tire siva yahan bhala
jal rahe hain log sab mera nisaab dekh kar

बंद इक किताब में रखा गुलाब देख कर
ज़िन्दा मैं रहा हूँ बस उसी का ख़्वाब देख कर

मैंने माना पास तेरे ख़ूब यार माल है
फ़िर भी ख़र्च कर तू बस ज़रा हिसाब देख कर

मतलबी बना है देखो कितना आदमी यहाँ
नेकी भी यहाँ वो करता है सवाब देख कर

क्या है पास मेरे इक तिरे सिवा यहाँ भला
जल रहे हैं लोग सब मिरा निसाब देख कर

- Azhan 'Aajiz'
1 Like

Gulaab Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Azhan 'Aajiz'

As you were reading Shayari by Azhan 'Aajiz'

Similar Writers

our suggestion based on Azhan 'Aajiz'

Similar Moods

As you were reading Gulaab Shayari Shayari