main zeest ke nahin ki qaza ke qareeb hoon
main to usi ki dost wafa ke qareeb hoon
logon udaas shakhs ko kahte ho kyun bura
main is udaasi se hi khuda ke qareeb hoon
kya jurm hai mera mujhe maaloom bhi nahin
par ek jurm ki main saza ke qareeb hoon
ye aazma rahe hain mujhe yaar kis tarah
ariz diya hoon aur hawa ke qareeb hoon
मैं ज़ीस्त के नहीं कि क़ज़ा के क़रीब हूँ
मैं तो उसी की दोस्त वफ़ा के क़रीब हूँ
लोगों उदास शख़्स को कहते हो क्यूँ बुरा
मैं इस उदासी से ही ख़ुदा के क़रीब हूँ
क्या जुर्म है मिरा मुझे मालूम भी नहीं
पर एक जुर्म की मैं सज़ा के क़रीब हूँ
ये आज़मा रहे हैं मुझे यार किस तरह
'आरिज़' दिया हूँ और हवा के क़रीब हूँ
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Azhan 'Aajiz'
our suggestion based on Azhan 'Aajiz'
As you were reading Crime Shayari Shayari