tumhaari yaar hasrat ne mujhe zinda rakha
tumhaari hi muhabbat ne mujhe zinda rakha
samajhdari ne kab ka maar daala tha mujhe
magar meri himaqat ne mujhe zinda rakha
ki dil mein dost haibat maut kii baithi hui
magar is dil kii haibat ne mujhe zinda rakha
mujhe to dosto kii dosti ne maara hai
ki dushman kii adavat ne mujhe zinda rakha
mujhe hairat ki tanhaai mein bhi zinda raha
magar is ek hairat ne mujhe zinda rakha
muhabbat intezaar-o-wasl-o-tanhai firaq
yahan har ek vehshat ne mujhe zinda rakha
ujaale subah to qaatil lage apne mujhe
andheri raat zulmat ne mujhe zinda rakha
mujhe maara ki teri yaar aadat ne magar
tiri hi yaar aadat ne mujhe zinda rakha
mujhe to maar daala tha fasaane mein kisi
magar meri haqeeqat ne mujhe zinda rakha
haqeeqat baat to ye hai suno mere azeez
khuda kii hi inaayat ne mujhe zinda rakha
तुम्हारी यार हसरत ने मुझे ज़िन्दा रखा
तुम्हारी ही मुहब्बत ने मुझे ज़िन्दा रखा
समझदारी ने कब का मार डाला था मुझे
मगर मेरी हिमाक़त ने मुझे ज़िन्दा रखा
कि दिल में दोस्त हैबत मौत की बैठी हुई
मगर इस दिल की हैबत ने मुझे ज़िन्दा रखा
मुझे तो दोस्तो की दोस्ती ने मारा है
कि दुश्मन की अदावत ने मुझे ज़िन्दा रखा
मुझे हैरत कि तन्हाई में भी ज़िन्दा रहा
मगर इस एक हैरत ने मुझे ज़िन्दा रखा
मुहब्बत इंतिज़ार-ओ-वस्ल-ओ-तन्हाई फ़िराक़
यहाँ हर एक वहशत ने मुझे ज़िन्दा रखा
उजाले सुब्ह तो क़ातिल लगे अपने मुझे
अँधेरी रात ज़ुल्मत ने मुझे ज़िन्दा रखा
मुझे मारा कि तेरी यार आदत ने मगर
तिरी ही यार आदत ने मुझे ज़िन्दा रखा
मुझे तो मार डाला था फ़साने में किसी
मगर मेरी हक़ीक़त ने मुझे ज़िन्दा रखा
हक़ीक़त बात तो ये है सुनो मेरे अज़ीज़
ख़ुदा की ही इनायत ने मुझे ज़िन्दा रखा
As you were reading Shayari by Azhan 'Aajiz'
our suggestion based on Azhan 'Aajiz'
As you were reading undefined Shayari