is zindagi ke mas'ale bhi hal nahin hue | इस ज़िन्दगी के मस'अले भी हल नहीं हुए

  - Azhan 'Aajiz'

is zindagi ke mas'ale bhi hal nahin hue
ham iske baad bhi yahan paagal nahin hue

vo log sab bichhad to gaye mujhse par kabhi
aankhon se yaar vo meri ojhal nahin hue

hisse mein kaanton ke mile bistar mujhe yahan
vo aaj tak zara se bhi makhmal nahin hue

boye the is hayaat mein chandan ke ped jo
poori tarah se vo kabhi sandal nahin hue

इस ज़िन्दगी के मस'अले भी हल नहीं हुए
हम इसके बाद भी यहाँ पागल नहीं हुए

वो लोग सब बिछड़ तो गए मुझसे पर कभी
आँखों से यार वो मिरी ओझल नहीं हुए

हिस्से में काँटों के मिले बिस्तर मुझे यहाँ
वो आज तक ज़रा से भी मख़मल नहीं हुए

बोए थे इस हयात में चंदन के पेड़ जो
पूरी तरह से वो कभी संदल नहीं हुए

  - Azhan 'Aajiz'

Aashiq Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Azhan 'Aajiz'

As you were reading Shayari by Azhan 'Aajiz'

Similar Writers

our suggestion based on Azhan 'Aajiz'

Similar Moods

As you were reading Aashiq Shayari Shayari