aapko main kya bataaunga ki kya hai zindagi | आपको मैं क्या बताऊँगा कि क्या है ज़िन्दगी

  - Azhan 'Aajiz'

aapko main kya bataaunga ki kya hai zindagi
ek ghalti jo hui uski saza hai zindagi

aap itna jaaniye bas ye khuda ke aapke
darmiyaan ka ek chhota faasla hai zindagi

main jahaan ka hoon nahin ghar tha jahaan mera kabhi
do jagah ke beech ka ik faisla hai zindagi

maut hai aasaan si manzil yahan jiski miyaan
bas usi ki or mushkil raasta hai zindagi

is ameer-e-shahr se achha t'alluq hai faqat
is ghareeb-e-shehr se kab aashna hai zindagi

poochhti hai mujhse zinda hai kahe jaati hai kya
kis qadar mujhse miyaan hairat-zada hai zindagi

poochte hain aap mujhse maajra kya hai agar
zindagi se main to mujhse ye khafa hai zindagi

आपको मैं क्या बताऊँगा कि क्या है ज़िन्दगी
एक ग़लती जो हुई उसकी सज़ा है ज़िन्दगी

आप इतना जानिए बस ये ख़ुदा के आपके
दरमियाँ का एक छोटा फ़ासला है ज़िन्दगी

मैं जहाँ का हूँ नहीं घर था जहाँ मेरा कभी
दो जगह के बीच का इक फ़ैसला है ज़िन्दगी

मौत है आसान सी मंज़िल यहाँ जिसकी मियाँ
बस उसी की ओर मुश्किल रास्ता है ज़िन्दगी

इस अमीर-ए-शहर से अच्छा त'अल्लुक़ है फ़क़त
इस ग़रीब-ए-शहर से कब आश्ना है ज़िन्दगी

पूछती है मुझसे ज़िंदा है कहे जाती है क्या
किस क़दर मुझसे मियाँ हैरत-ज़दा है ज़िन्दगी

पूछते हैं आप मुझसे माजरा क्या है अगर
ज़िन्दगी से मैं तो मुझसे ये ख़फ़ा है ज़िन्दगी

  - Azhan 'Aajiz'

Justice Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Azhan 'Aajiz'

As you were reading Shayari by Azhan 'Aajiz'

Similar Writers

our suggestion based on Azhan 'Aajiz'

Similar Moods

As you were reading Justice Shayari Shayari