chala main to mere hisse safar aaya
yahan pe aaj tak mera na ghar aaya
yahan poocha agar ahl-e-jahaan nen to
kaha bas ye miyaan main ishq kar aaya
gaya shehr-e-mohabbat main kahoon kya fir
ki khud se yaar ho kar be-khabar aaya
ghamo se ab nikalna hai mujhe jaanaan
tabhi to main yahan tere nagar aaya
tujhe neeche na dekha ja saka mujh se
bulandi se sanam main fir utar aaya
thaka jo main kabhi zyaada safar mein to
wahin thehra jahaan achha shajar aaya
gali mein jo gaya uski kaha sab ne
are ariz bahut din mein idhar aaya
चला मैं तो मिरे हिस्से सफ़र आया
यहाँ पे आज तक मेरा न घर आया
यहाँ पूछा अगर अहल-ए-जहाँ नें तो
कहा बस ये मियाँ मैं इश्क़ कर आया
गया शहर-ए-मुहब्बत मैं कहूँ क्या फ़िर
कि ख़ुद से यार हो कर बे-ख़बर आया
ग़मो से अब निकलना है मुझे जानाँ
तभी तो मैं यहाँ तेरे नगर आया
तुझे नीचे न देखा जा सका मुझ से
बुलंदी से सनम मैं फ़िर उतर आया
थका जो मैं कभी ज़्यादा सफ़र में तो
वहीं ठहरा जहाँ अच्छा शजर आया
गली में जो गया उसकी कहा सब ने
अरे! 'आरिज़' बहुत दिन में इधर आया
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Azhan 'Aajiz'
our suggestion based on Azhan 'Aajiz'
As you were reading Bhai Shayari Shayari