na ho paaya meri jaan dekh main jo chahta tha | न हो पाया मिरी जाँ देख मैं जो चाहता था - Azhan 'Aajiz'

na ho paaya meri jaan dekh main jo chahta tha
meri jo dastaras mein tha nahin vo chahta tha

zamaane se chhupaau kya bhala ab ishq apna
tujhe main chahta tha jaane-jaan so chahta tha

na chaaha samjhe duniya mujhko lekin yaar main to
tiri hi bas yaqeen kar ik tavajjoh chahta tha

ghazal gham se tire maine kahi jaanaan nahin ye
ki pehle se hi main khud ko ghazal-go chahta tha

न हो पाया मिरी जाँ देख मैं जो चाहता था
मिरी जो दस्तरस में था नहीं वो चाहता था

ज़माने से छुपाऊँ क्या भला अब इश्क़ अपना
तुझे मैं चाहता था जाने-जाँ सो चाहता था

न चाहा समझे दुनिया मुझको लेकिन यार मैं तो
तिरी ही बस यक़ीं कर इक तवज्जोह चाहता था

ग़ज़ल ग़म से तिरे मैंने कही जानाँ नहीं ये
कि पहले से ही मैं ख़ुद को ग़ज़ल-गो चाहता था

- Azhan 'Aajiz'
1 Like

Dard Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Azhan 'Aajiz'

As you were reading Shayari by Azhan 'Aajiz'

Similar Writers

our suggestion based on Azhan 'Aajiz'

Similar Moods

As you were reading Dard Shayari Shayari