zindagi ye ab ghamo mein yaar dhaali ja rahi hai
haan faqat ab to shab-e-furqat guzaari ja rahi hai
aur to kuchh hai nahin jo kar saken ham kuchh yahan par
bas hawa mein dost qismat ye uchaali ja rahi hai
dekh sakte hain magar kar kuchh nahin sakte miyaan ham
zindagi ho kar juda ham se hamaari ja rahi hai
chaah kar bhi so nahin saka kisi shab main sukoon se
khwaab mein bhi haath ariz vo chudhaati ja rahi hai
ज़िन्दगी ये अब ग़मो में यार ढाली जा रही है
हाँ फ़क़त अब तो शब-ए-फ़ुर्क़त गुज़ारी जा रही है
और तो कुछ है नहीं जो कर सकें हम कुछ यहाँ पर
बस हवा में दोस्त क़िस्मत ये उछाली जा रही है
देख सकते हैं मगर कर कुछ नहीं सकते मियाँ हम
ज़िन्दगी हो कर जुदा हम से हमारी जा रही है
चाह कर भी सो नहीं सकता किसी शब मैं सुकूँ से
ख़्वाब में भी हाथ 'आरिज़' वो छुड़ाती जा रही है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Azhan 'Aajiz'
our suggestion based on Azhan 'Aajiz'
As you were reading Sukoon Shayari Shayari