dhalne lagi ye shaam ab meri yahan
hain koshishein naakaam sab meri yahan
is aas se zinda raha main umr bhar
sun le khuda faryaad ab meri yahan
kuchh khaas hai is mein mujhe do aur gham
bas hai udaasi hi talab meri yahan
maine muhabbat ki miyaan ye phir bani
is kaamiyaabi ka sabab meri yahan
kuchh is liye bhi bolta zyaada nahin
bekar samjhe baat sab meri yahan
tum bhi samajh baithe mujhe khush yaar ab
hai zindagi khush-haal kab meri yahan
ariz banuunga yaad main ik din kabhi
parwaaz hogi rooh jab meri yahan
ढलने लगी ये शाम अब मेरी यहाँ
हैं कोशिशें नाकाम सब मेरी यहाँ
इस आस से ज़िन्दा रहा मैं उम्र भर
सुन ले ख़ुदा फ़रयाद अब मेरी यहाँ
कुछ ख़ास है इस में मुझे दो और ग़म
बस है उदासी ही तलब मेरी यहाँ
मैंने मुहब्बत की मियाँ, ये फिर बनी
इस कामियाबी का सबब मेरी यहाँ
कुछ इस लिए भी बोलता ज़्यादा नहीं
बेकार समझे बात सब मेरी यहाँ
तुम भी समझ बैठे मुझे ख़ुश यार अब
है ज़िन्दगी ख़ुश-हाल कब मेरी यहाँ
'आरिज़' बनूँगा याद मैं इक दिन कभी
परवाज़ होगी रूह जब मेरी यहाँ
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Azhan 'Aajiz'
our suggestion based on Azhan 'Aajiz'
As you were reading Depression Shayari Shayari