sitam ho rahe hain bahut par musalmaan chup hain
musalmaan to kya sabhi yaar insaan chup hain
mita hi rahi hai siyaasat muhabbat watan se
magar dekhiye ishq ke sab nigahbaan chup hain
yahan khatm sab ho chuki raunakein aur dekho
gulon ko nazar hai lagi to gulistaan chup hain
ki awaaz ab kyun uthaate nahin yaar haq ki
bhala kis liye ab yahan sab musalmaan chup hain
सितम हो रहे हैं बहुत पर मुसलमान चुप हैं
मुसलमान तो क्या सभी यार इंसान चुप हैं
मिटा ही रही है सियासत मुहब्बत वतन से
मगर देखिए इश्क़ के सब निगहबान चुप हैं
यहाँ ख़त्म सब हो चुकी रौनकें और देखो
गुलों को नज़र है लगी तो गुलिस्तान चुप हैं
कि आवाज़ अब क्यूँ उठाते नहीं यार हक़ की
भला किस लिए अब यहाँ सब मुसलमान चुप हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Azhan 'Aajiz'
our suggestion based on Azhan 'Aajiz'
As you were reading Sarhad Shayari Shayari