milega kya batao yaar nafrat se
jiyo ye zindagi yaaron mohabbat se
dikha mujhko rahe hain dost aaina
jo waqif khud nahin apni haqeeqat se
ki achhi hai bahut ye qaid ulfat ki
na nikloon main mohabbat ki hiraasat se
hamein kamzor samjha ja raha hai ab
agar jee ham rahe hain jo sharaafat se
karo itna nahin tum zulm logon par
utar jaana padega baadshaahat se
mitaana chahiye ye khel poora hi
bika hai desh apna fir siyaasat se
मिलेगा क्या बताओ यार नफ़रत से
जियो ये ज़िन्दगी यारों मोहब्बत से
दिखा मुझको रहे हैं दोस्त आईना
जो वाक़िफ़ ख़ुद नहीं अपनी हक़ीक़त से
कि अच्छी है बहुत ये क़ैद उल्फ़त की
न निकलूँ मैं मोहब्बत की हिरासत से
हमें कमज़ोर समझा जा रहा है अब
अगर जी हम रहे हैं जो शराफ़त से
करो इतना नहीं तुम ज़ुल्म लोगों पर
उतर जाना पड़ेगा बादशाहत से
मिटाना चाहिए ये खेल पूरा ही
बिका है देश अपना फ़िर सियासत से
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Azhan 'Aajiz'
our suggestion based on Azhan 'Aajiz'
As you were reading Dushmani Shayari Shayari