zamaane se gile to apnon se shikwe mile mujhko | ज़माने से गिले तो अपनों से शिकवे मिले मुझको

  - Azhan 'Aajiz'

zamaane se gile to apnon se shikwe mile mujhko
mile husn-e-amal ke doston aise sile mujhko

zara sa zindagi ki kashmakash mein yaar udhdaa hoon
agar koi ho basti mein rafugar to sile mujhko

khushi hai gham na tanhaai na mujhko khof-e-ruswaai
hue hain dost jab se ishq ke ye silsile mujhko

mah-e-kaamil zara tanhaa laga kuchh gham-zada kal raat
guzishta shab dikhe taare bhi kuchh kuchh tilmile mujhko

ki yun to dekhi duniya sab magar jab aaina dekha
kaiyen phir aadmi ik aadmi mein hi mile mujhko

ज़माने से गिले तो अपनों से शिकवे मिले मुझको
मिले हुस्न-ए-अमल के दोस्तों ऐसे सिले मुझको

ज़रा सा ज़िन्दगी की कश्मकश में यार उधड़ा हूँ
अगर कोई हो बस्ती में रफ़ूगर तो सिले मुझको

ख़ुशी है ग़म न तन्हाई न मुझको ख़ौफ़-ए-रुसवाई
हुए हैं दोस्त जब से इश्क़ के ये सिलसिले मुझको

मह-ए-कामिल ज़रा तन्हा लगा कुछ ग़म-ज़दा कल रात
गुज़श्ता शब दिखे तारे भी कुछ कुछ तिलमिले मुझको

कि यूँ तो देखी दुनिया सब मगर जब आइना देखा
कईं फिर आदमी इक आदमी में ही मिले मुझको

  - Azhan 'Aajiz'

Dard Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Azhan 'Aajiz'

As you were reading Shayari by Azhan 'Aajiz'

Similar Writers

our suggestion based on Azhan 'Aajiz'

Similar Moods

As you were reading Dard Shayari Shayari