siva tere nazar koii na aaya hai mujhe | सिवा तेरे नज़र कोई न आया है मुझे

  - Azhan 'Aajiz'

siva tere nazar koii na aaya hai mujhe
mere hamdam ki toohi sirf bhaaya hai mujhe

thikaane ishq ne tere lagaaya hai mujhe
tire is husn ne shayar banaya hai mujhe

yahan har shay meri ustaad hai yun dosto
sabhi ne kuchh na kuchh dekho sikhaaya hai mujhe

mujhe aata nahin kuchh bhi sivaae ishq ke
faqat ik paath ulfat ka padhaaya hai mujhe

jise ik aankh bhar ke aaj tak dekha nahin
usi ka shehar ne aashiq bataaya hai mujhe

nibhaai dushmani bas dosti kii aad mein
sabhi ne dost ban kar hi haraaya hai mujhe

gile shikwe bahut hain tujhse par karta nahin
ki tune zindagi kitna sataaya hai mujhe

diya tha main ki karta raushni tere liye
bhala kya soch kar tune bujhaaya hai mujhe

andheron mein rakha jhooti tasalli di rafeeq
muhabbat mein faqat paagal banaya hai mujhe

tujhe kya hai khabar ai hum-nasheen jaan-e-nazar
tiri yaadon ne kitni shab jagaaya hai mujhe

yahan hota raha zer-o-zabar main har ghadi
giraaya isne to usne uthaya hai mujhe

bikhrna hai dobaara toot ke ariz mujhe
kisi ne khwaab kah kar phir sajaaya hai mujhe

सिवा तेरे नज़र कोई न आया है मुझे
मिरे हमदम कि तूही सिर्फ़ भाया है मुझे

ठिकाने इश्क़ ने तेरे लगाया है मुझे
तिरे इस हुस्न ने शायर बनाया है मुझे

यहाँ हर शय मिरी उस्ताद है यूँ दोस्तो
सभी ने कुछ न कुछ देखो सिखाया है मुझे

मुझे आता नहीं कुछ भी सिवाए इश्क़ के
फ़क़त इक पाठ उल्फ़त का पढ़ाया है मुझे

जिसे इक आँख भर के आज तक देखा नहीं
उसी का शहर ने आशिक़ बताया है मुझे

निभाई दुश्मनी बस दोस्ती की आड़ में
सभी ने दोस्त बन कर ही हराया है मुझे

गिले शिकवे बहुत हैं तुझसे पर करता नहीं
कि तूने ज़िन्दगी कितना सताया है मुझे

दिया था मैं कि करता रौशनी तेरे लिए
भला क्या सोच कर तूने बुझाया है मुझे

अँधेरों में रखा झूटी तसल्ली दी रफ़ीक़
मुहब्बत में फ़क़त पागल बनाया है मुझे

तुझे क्या है ख़बर ऐ हम-नशीं जान-ए-नज़र
तिरी यादों ने कितनी शब जगाया है मुझे

यहाँ होता रहा ज़ेर-ओ-ज़बर मैं हर घड़ी
गिराया इसने तो उसने उठाया है मुझे

बिखरना है दुबारा टूट के आरिज़ मुझे
किसी ने ख़्वाब कह कर फिर सजाया है मुझे

  - Azhan 'Aajiz'

More by Azhan 'Aajiz'

As you were reading Shayari by Azhan 'Aajiz'

Similar Writers

our suggestion based on Azhan 'Aajiz'

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari