main kabhi kuchh pake roya to kabhi kuchh kho ke roya | मैं कभी कुछ पाके रोया तो कभी कुछ खो के रोया

  - Azhan 'Aajiz'

main kabhi kuchh pake roya to kabhi kuchh kho ke roya
main ziyaada sirf behnon se alag phir ho ke roya

raat bhar roya kisi ke hijr mein jaaga bhi main to
aur jo mujhmein basa tha vo sukoon se so ke roya

main raha hoon jab talak uska jahaan mein khush raha hoon
jab hua khud ka yaqeen kar dost khud ka ho ke roya

main fasal ab kaatta hoon yaar nafrat ki yahan to
beej ariz main muhabbat ke yahan to bo ke roya

मैं कभी कुछ पाके रोया तो कभी कुछ खो के रोया
मैं ज़ियादा सिर्फ़ बहनों से अलग फिर हो के रोया

रात भर रोया किसी के हिज्र में जागा भी मैं तो
और जो मुझमें बसा था वो सुकूँ से सो के रोया

मैं रहा हूँ जब तलक उसका जहाँ में ख़ुश रहा हूँ
जब हुआ ख़ुद का यक़ीं कर दोस्त ख़ुद का हो के रोया

मैं फ़सल अब काटता हूँ यार नफ़रत की यहाँ तो
बीज 'आरिज़' मैं मुहब्बत के यहाँ तो बो के रोया

  - Azhan 'Aajiz'

Hijrat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Azhan 'Aajiz'

As you were reading Shayari by Azhan 'Aajiz'

Similar Writers

our suggestion based on Azhan 'Aajiz'

Similar Moods

As you were reading Hijrat Shayari Shayari